Mere Khamosh Aansu Jo Rukne Ka Naam Nahi Late..
Angaro Ki Jalan Chhupi Hai In Me Jo Mujhe Thandak Bhi Nahi Dete..
Mere Khamosh Aansu Jo Rukne Ka Naam Nahi Late..
Dhu-Dhu Karke Jalte Hai Jakham Shole Ban Kar…
Door-Door Tak Koi Ehsaas Nahi, Aaye Koi Badal Ban Kar..
Roti Hai Aatma…Rota Hai Har Rom Mera..
Mere Khamosh Saye Bhi Aaj Mujhko Chubhan Dete…
Mere Khamosh Aansu Jo Rukne Ka Naam Nahi Late..
Pal Pal Dard Ki Gehraiya Barti Jati Hai…
Jalte Hua Chhalo Ko Hawa Diye Jati Hai..
Kab Khatm Hoga Ye Dukho Ka Aalam..
Sisakte Hoth Bhi Chup Hone Ka Naam Nahi Lete..
Mere Khamosh Aansu Jo Rukne Ka Naam Nahi Lete…
Sard Aahe Dharkano Ko Baithaye Jati Hai..
Aaj Ek Khushi Bhi Khoon Se Lath-Path Hui Jati Hai..
Har Taraf Faila Aaz ‘Udas’ Ka Khoon Nazar Aata Hai..
Aaj Ka Din Ye Apna Aakhri Panna Nazar Aata Hai..
Mere Khamosh Aansu Jo Rukne Ka Naam Nahi Late
Angaro Ki Jalan Chhupi Hai In Me Jo Mujhe Thandak Bhi Nahi Dete