Mere Izhaar-E-Masharrat Pe Khafa Hai Tu Mujhse
Gum-E-Ulfat Ka Gar Izhaar Karen To Kyaa Hoga
Jara Sa Khwabon Mein Aaye To Kayamat Si Ho Gayi
Shamon Saher Gar Tumhen Bekarar Karenge To Kyaa Hoga
Phul Se Gaalon Ki Hifazat Ki To Zulm Hua Mujhse
Chhed Ke Zulfon Ko Bezaar Karenge To Kyaa Hoga
Subah-E-Gulshan Ka Intezaar Na Hua Tujhse
Shaam-E- Tanhai Ko Besumaar Karenge To Kyaa Hoga
Gardish-E-Ayyam Kabhi Aisa Ab Aye Na Aaye
Aap Aise Hi Gar Inkar Karenge To Kyaa Hoga
Nafrat Se Nahi Pyaar Se Dekho “Majbur”-E-Yaar Ko
Hum Nafarat Se Bhee Gar Pyaar Karenge To Kyaa Hoga