Mere Humsafar Woh Jo Ek Risha-E-Dard Tha
Mere Naam Ka Tere Naam Se
Teri Subah Ka Meri Sham Se
Sar-E-Raah Guzar Hai Para Hua Wohi Khawab-E-Jaa
Usi Rakhat-E-Jaa Ko Samette
Usi Khawab-E-Jaa Ko Sambhalte
Mere Raasto Me Kayi Raaste Ulajh Gaye
Woh Chirag Jo Mere Saath They Bujh Gaye
Kisi Aur Manzil Ke Gubar-E-Raah Me Kho Gaye
Mere Humsafar Tujhe Kya Khabar
Jo Waqt Hai Kisi Dhoop Chhao Se Khel Sa
Usey Dekhte Usey Jhelte
Meri Aankh Gard Se At Gayi
Mere Be Khabar Tere Naam Par
Wo Jo Phool Khilte They Hont Par
Woh Nahi Rahe
Woh Nahi Rahe Ke Jo Ek Rabt Tha
Darmiyan Woh Bikhar Gaya
Mere Humsafar Hai Wohi Safar
Magar Ek Morh Ke Farq Se
Tere Haath Se Mere Haath Tak
Woh Jo Haath Bhar Ka Tha Fasla
Kayi Mausamo Me Badal Gaya
Usey Naapte Usey Kaatte
Mera Saara Waqt Nikal Gaya