Mere Hotte Huye Bhhi Hai Ek Dost Jaise Tannha Sa
Jaane Kyaa Fayedaa Hai Mere Usske Sang Hone Ka
Dil Se Kartey Hai Dil Ki Baatain
Par Dil Shayad Chhu Na Sake
Aaye To Hum Paas Bahut
Teri Ruh Chu Na Sake
Ehsaas Jab Hua, Dard Bahut Hua
Aankhain Bhi Kuch Nam Si Huyi
Apne Par Tha Vishwaas Jo
Aaj Bharam Dekha To Vo Bhi Tutta Hua
Daaman Me Dekha To They Bas Sitare
Hasi Thi Khilkhilati Jahhan Ke Liye
Jo Chaha Vo Humney Na Paaya
Joo Paaya Usey Apna Na Sake
Bewajah Jee Rahe Hai Jaise Jeene Ki Jarurat Bhi Nahi
Saans Aaye Na Aaye Hame Takaluuf Si Jarurat Nahi
Jinke Liye Jeena Chahtey They Hum
Jaise Unhe Bhi Hamari Jarurat Nahi
Hulchal Hoti Hai Seene Mein, Dil Me Dard Ab Badhta Hai
Jaane Kaisa Mehsus Hua, Jab Koyi Humsey Wafa Ab Karta Hai
Parchayi Dekh Kar Aisa Laga, Shayad Ab Hum Bhi Jinda Hai
Jaane Kyu Mere Hote Huye Bhi, Dost Mere Tanha Hai?
Aansu Girtey Hai Jaise Sholey
Aahain Hai Jaise Tuffann Sa Koyi
Ek Shaks Ki Khushi Ki Raza Khuda Se Maangi,
Na Maangi Aur Khudayi Koyi……………
Agar De Khuda Ek Aur Apni Nawajish Mujhe
Maangti Hu Rihayi Uski Is Dard Se,
Bhar De Daaman Uska Khushiyon Ke Rang Se Eh Khuda
Aaj To Maan Le Tu Ek Baar Meri Ye Dua…….
Ke Phir Na Kehna Pade Mujhe Kya Hai Mere Jeene Ki Wajah
Jaane Kyu Mere Hote Huye Bhi…………………Dost Mera Tanha Sa?