Mere Hii Lahuu Par Guzar Auqaat Karo Ho
Mujh Se Hii Amiiron Kii Tarah Baat Karo Ho
Din Ek Sitam Ek Sitam Raat Karo Ho
Vo Dost Ho Dushman Ko Biii Maat Karo Ho
Ham Khaaqnashiin Tum Sukhanaaray Sar-E-Baam
Paas Aakar Milo Duur Se Kyaa Baat Karo Ho
Ham Ko Jo Milaa Hai Vo Tumhiin Se To Milaa Hai
Ham Aur Bhulaa Den Tumhen Kyaa Baat Karo Ho
Yuun To Muunh Pher Ke Dekho Bhii Nahiin Ho
Jab Vaqt Pade Hai To Madaaraat Karo Ho
Na Daaman Pe Koii Chiint Na Khanjar Pe Koii Daag
Tum Qatl Karo Ho Ke Karaamaat Karo Ho
Bakane Do “Aajiz” Ko Jo Bole Hai Bake Hai
Diivaanaa Hai Diivaane Se Kyaa Baat Karo Ho