Mere Ghar Main Jhagdon Ke Kitne Hi Karan Rehte Hai
Aangan Chota Pad Jata Hai, Itne Dushman Rehte Hai
Nafrat, Khoon, Fasaad-O-Kanjar Itna Sab Kuch Bikhra Hai
Ghar Ke Bahar Se Hi Lagta Hai Ki Durjan Rehte Hai
Palkon Per Aandhi Soyee Hai, Honton Per Sholey Phir Bhi
Sab Ki Aankhon Main Kuch Toote-Foote Sawan Rehta Hai
Kahan Toh Her Chehre Main Bas Shaitan Dikhayee Padta Hai
Kahan Suna Karte They Sab Ke Mann Main Mohan Rehte Hai
Itna Thool Nahi Dena Hai Aakhir Ghar Ke Masle Main
Aawaze Bhi Aati Hai Jab Jyada Bartan Rehte Hai..