Mere Ghar Aao Tum
Ye Haq Hai Tumhaara
Har Taraf Bikhri In
Cheezon Ko Na Sajaao,

Mera Naseeb Bhi Bigda Hai
Mere Bister Ki Taraah..
Mere Naseeb Or Mere Bistar Me
Ye Faasla Na Barhao,
Baat Sirf Ek Cup Chaai Ki Nahi
Tum Joothe Bartanon Ko Bhi Rehne Do,
Tumhara Ye Duppat.Ta Aksar
Tumhaare Kaandhe Se Sarak
Jaata Hai,
Mere Ghar Ko Rehne Do
Apna Dupatta Uthaao..
Mai Tumhaari Aadat Ke Saath Nahi Jeena Chaahta
Ho Sake To Tum Mujhse
Kuchh Or Faasle Barhao,
Tum To Chali Jaati Ho Lekin
Tumhaari Mehek Is Kamre Me Reh Jaati Hai,
Mujhe Ye Khushbuein Raas Nahi Aati
Tumhaari Judaai Ka Dar Dikhaati Hain
Haan Kuchh Hai Jo Bikhar Jaata Hai
Meri Hi Is Jameen Per
Tum Mere Kamre Se Ise
Ise Kachra Samajhkar Na Hatao
Mai Khush Hoon Ke Phir Bhi
Itna Maan To Dete Ho Tum,
Mai Kehkar Bhi Kuchh Nahi Kehta Tumse
Or Jaanta Hoon Ke Ankaha Bhi
Jaan Leti Ho Tum.