Mere Dost Main Woh Nahi Jo Dikhta Hu
Jaan Bujhkar Maine Ekk Libaas Pehen Rakha Hain
Jo Mujhe Tumhare Sawalon Se Bachata Hain
Aur Tumhe Mere Taghaful Se
Mere Dost Jab Tum Guzrti Hui Hawa Kii Aur Ishaara Karte Ho
Mera Dil To Kisi Samunder Kii Gehraiyon Main Khoya Rehta Hain
Tumhare Kehne Par Hii Main Apni Gehraiyon Se Uthkar
Guzarti Hui In Hawaon Ko Mehsus Kar Leta Hu,
Kyunki Main Jaanta Hu Tum Mere Samunder Ko Samaj Nahi Paoge
Jab Tumhara Yaha Kisi Ujle Din Kii Shuruat Hoti Hain
Mere Waha Ekk Suni Raat Apna Geet Gungunati Hain
Tumahri Nazro Se Main Suraj Kii Kirno Ko Failte Hue Dekh Leta Hu
Jab Ki Tum Taaron Se Pankh Ladaati Meri Raat Nahi Dekh Paate
Dost Jab Tum Kisi Jannat Kii Aur Chal Padte Ho
Main Apne Jahanum Main Simat Jaata Hu,
Tunhare Saath Main Kabhi Jannat Ko Dekh Leta Hu
Par Hamesha Main Tumhe Apne Jahanum Se Dur Rakhta Hu
Kyunki Main Jaanta Hu Yaha Kii Aag Tumhara Chehra Jala Degi
Aur Yaha Kaa Dhua Tumahari Aankhon Ko Pighla Dega.
Jab Tum Has Padte Ho Main Bhii Has Leta Hu
Tumahre Khwabo Kii Duniya Main Sang Tumhare Ho Leta Hu
Meri Jujlaati Hui Haqeeqat Se Tumhe Bahut Dur Le Jaata Hu
Kyunki Tum Meri Deewani Duniya Se Waqef Nahi
Aur Muje Tumhare Jaha Se Nahi Koi Wasta
Fir Bhii Ae Dost ,Yuhi Saath Saath
Hum Chal Padte Hain Kisi Anjaan Safar Per
Thame Dosti Kaa Haath..