Mere Dil Kaa Her Armaan Jala Do
Mere Jeene Kaa Samaan Jala Do
Naa Rakho Aadam* Mujh Ko Ab
Wo Bhatakta Hua Imaan Jala Do
*Human, Manushya
Kar Do Rukhsat Mujhe Jahan Se .
Roz Marne Kaa Farmaan Jala Do
Mita Do Nishani Mere Wazood Kii-Â…
Viraniyon Se Ghira Makaan Jala Do-Â…
Bana Diya Gunahgar Nazron Ne-Â…
Ye Teer Aur Ye Kamaan Jala Do-Â…
Ban Jaun Waakai -Ë—saccha_pyar-‘-Â…
Ghoor Raha Wo Gumaan Jala Do-Â…
Mil Naa Jaun Hawaon Main Yaar-Â…
Ye Zameen, Ye Aasman Jala Do-Â…
Han Aaj Tum Ye Zameen Jala Do…
Han Aaj Tum Ye Aasman Jala Do