Mere Dard Ki Dawaa Hai Meh‚  Ab Naa Kahi Hai Mera Aana Jana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana
Jisse Wafa Ki Umeed Thi Mujhko Jo Mera Apna Tha
Jiske Pyaar Ke Sahare Hi Main Jeeta Tha
Mili Hai Usi Se Hi Ulfat Wo Hua Anjana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana
Peelayi Thi Sharaab Usne Mujhe Apni Aankho Se
Nashe Chhur Kar Ke Mujhe Yu Akela Chhoda Hai
Ab Naa Koi Apna Hai Har Koi Hai Begana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana
Rasham-A-Mohabbat Bhi Usne Kya Khoob Nibhaayi Hai
Mere Dil Mein Rehkar Hai Ki Usne Yu Tabhaayi Hai
Naa Koi Ghar Hai Ab Mera Naa Koi Thikaana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana
Mere Dard Ki Dawaa Hai Meh Ab Naa Kahi Hai Mera Aana Jana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana