Mera Wajood Pay Phailee Hain Taqdeer Ki Nadeedaa Lakeerain
Nijaat Jin Say Shayud Main Na Pa Sakunga Kabhi
Muqaddar Bun Kay Mila Hain Gumnaamion Kay Andhairay Mujhay
Tasleem-E-Fun Ki Apnay Shayud Un Main Lau Na Jalaa Sakunga Kabi
Lahu-Lahu Jiya Hai Maine Har Takhleek Ko Apni
Likha Hai Inhain Shub Ki Taarikian Laykar
Aur Alfaaz Kay Paikar Main Utaaraa Hai Inhain
Tanhaaion Main Afkaar Ki Baarikain Laykar
Umr Bhar Ka Dard Jinkay Liayay Paalaa
Aur Duniya Bhar Kay Rutbay Choray
Akaylaa Hi Takraataa Raha Waqt Ki Aandhi Say
Aur Kitnay Shokh Paighaam Moray
Magar Aayaa Na Koi Deedaawar Apnaa
Aur Tasvvur Mera Khlaaon Main Bhatkataa Hai Ab Talak
Meanings:
Nadeedeeda-Blind,Tasleem-E-Fun-Recognition Of Art
Paikar-Libaas,Body, Afkaar-Thought, Chintan, Deedawar-Paarkhi(Aankhwala)