Mera Kissa Hi Ajeeb Hai.
Sawaal Hi Sawaal Hain Jawaab Kahin Nahi Hai.
Ek Hai Meri Dost Jo Mere Dil Ke Bahut Kareeb Hai,
Ek Hai Mera Humsafar Jo Mujhe Sabse Jyada Azeez Hai.
Bahut Chaahti Hun Apni Dost Ko Bhi, Aur Apne Humsafar Ko Bhi,
Nahi Ji Sakti Thi Main Dono Ke Bina Hi.
Vakt Ne Karvat, Zameen Badli, Fiza Badli,
Aur Yeh Kya Maine Dekha, Meri Dost Bhi Badal Gayi.
Nahi Rahi Thi Woh Ab Pehle Jaisi,
Khudgarzi Hai Yeh, Ya Phir Jalan Uske Dil Mein?
Mujhse Ya Phir Mere Humsafar Se?
Nahi Jaanti Main..
Woh Dost Meri Mujhse Mera Humsafar Cheennna Chaahti Hai,
Humein Alag Karne Chaahti Hai..
Shaayad Woh Mere Humsafar Ko Chaahne Lagi Hai,
Ya Phir Mujhse Nafrat Karne Lagi Hai.
Humsafar Ko Mere Yeh Sab Pasand Nahi Hai,
Woh Sirf Mujhe Chaahata Hai,
Dil Aur Jaan Se Jyada,
Is Baat Ka Yakin Mujhe, Humsafar Ne Hi Dilaaya Hai.
Phir Kyun Meri Woh Dost Beech Mein Aa Rahi Hai?
Kyun Usse Meri Khushiyan Dekhi Nahi Ja Rahi Hain?
Kyun Woh Humein Saath Nahi Dekh Pa Rahi Hai?
Kyun Woh Humein Juda Karna Chaahti Hai?
Kyun Kar Rahi Hai Woh Aisa
Maine Apni Dost Ko Behan Se Badhkar Maana,
Usse Sachi Dosti Ki Aur Nibhaai Bhi,
Phir Kyun Woh Badal Rahi Aaj? Kyun?
Nahi Jaanti Woh, Ki Main Sachchai Jaanti Hun,
Nahi Jaanti Woh Ki Humsafar Ne Uska Ganda Chehre Ko Benakaab Kar Diya Hai,
Par Mera Humsafar Bhi Ajeeb Hai…
Mujhe Usse Kuch Bhi Kehne Se Mana Kar Diya Hai.
Woh Nahi Chaahat Ki Uski Vajah Se Meri Air Meri Dost Ki Ladai Ho Jaaye.
Woh Nahi Chaahata Yeh Sab.
Par Koi Mujhe Samjhaaye, Ki Main Kya Karoon
Dost Meri, Mere Saaamne Bhole Pan Ka Naatak Karti Hai,
Aise Banti Hai, Jaise Usse Achcha Is Duniya Mein Aur Koi Nahi,
Aur Mere Peeche Meri Hi Peeth Mein Khanjar Maarne Ki Taiyaari Kar Rahi Hai.
Ab To Yeh Sochti Hun Main Ki Use Dost Kahoon Bhi Ya Nahi.
Woh Meri Dosti Ke Laayak Nahi Hai.
Par Kya Karoon Main,
Woh To Meri Nafrat Ke Laayak Bhi Nahi Hai
Uske Jaisa Ghatiya Insaan Maine Zindagi Mein Nahi Dekha.