Mera Kasor Itna Hai Ke Meine Muhobat Ki Hai
Kudha Ko Chod Kar Ik Insan Ki Ibaadat Ki Hai
Luta Chuke Hai Sab Kuch Tere Ishq Ki Khatir
Tum Na Mano Sanam Magar Hakikaat Yhi Hai
Kabhi Lout Kar Ayega Jo Cla Gya Chod Kar
Bas Yhi Soch Kar Humne Zindagi Jee Hai
Kyun Kar Meine Hayaat Ki Talkhiyon Ko Pe Liya
Mere Dil Ko Mujh Se Aaj Bhi Yeh Shikayat Si Hai
Kya Phir Kissi Heer Ne Pukara Hai Use?
Ik Ranje Ne Gharwalon Se Bhagawat Ki Hai
Haan, Tera Bhi Ghar Ujhadega Koi Issi Tarah
Ro Ro Kar Ik Parinde Ne Usko Bad-‘dua Di Hai
Jis Tarah Tu Bulata Hai Usko Har Lamha
Kya Usne Bhi Kabhi Tumko Sada Di Hai?
Jo Suni Hai Tumne Uski Juban Se Kahani
Afsana Hai Thoda, Thodi Hakikat Bhi Hai
Raat Aayi Thi Sitaron Ke Hasiin Khawab Liye
Magar Uski Ik Yaad Mujh Ko Jaga Gyi Hai
Has Rha Tha Koi Mujh Ko Dekh Kar Kal Raat
Woh Kaun Hai Tujh Se Jiski Suraat Milti Hai?
Dekh Has Ke Jalta Hai Parwana Shama Ke Liye
Tune -ŗhumtum- Kya Khaak Muhobat Ki Hai