Mera Haal E Dil Kuch Aaisa Hai Ke Koi Bata Nahin Sakta
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta
Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta
Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee
Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta
Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta
Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta
Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta
Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta
Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhti Hoon Mashooq
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta