Mera Darpan Mera Aaina Meri Maa Ki Aankhen Thi
Aaj Usne Aankhen Moond Li Hain
Kahan Jaaon Kahan Niharoun Khud Ko
Maa Ab Duniya Mein Hi Nahin Hai
Main Nahin Rootha Us Hamdard Se Kabhi
Aaj Wo Hi Mujhe Chhod Gayi
Main Tanha Apni Marzi Se Nahin Hoon
Meri Taqdeer Mujhse Rooth Gayi
Kabhi Jo Mehfilein Mere Naam Se Roshan Thi
Aaj Meri Rooh Ko Wo Dafna Chuke Main
Mehekte The Jo Phool Aashiyane Mein Mere
Aaj Meri Majaar Par Wo Bhi Murjha Chuke Hain
Meri Saanse Khuda Ki Marzi Nahin Meri Maa Ki Amanat Hain
Zinda Hai Ye Hans Baazon Ke Beech Ye Uski Hi Inayat Hai
Shayad Hogi Teri Zaroorat Khuda Ko Par Usse Mujhe Kya Lena Maa
Maa Tu Ja Rahi Hai Maa Tu Mat Ja
Tujh Bin Kahan Jee Paunga Main Tu Mujhse Door To Mat Ja
Dar Dar Bhatak Raha Hoon Maa Aa Mere Paas Aa, Aa Mere Paas Aa..
Maa Tu Ja Rahi Hai Maa Tu Mat Ja