Meizbaanee Hai Zaahid Kee? Hairaan Hoon!
Kyaa Karoon Saaqiyah? Mein Pareishaan Hoon!!
Us Kaa Yeemaan Hai! Woh, Us Kaa Paaband Hai!
Jab Ki, Mein Eik Adnaa Hoon: Insaan Hoon!!
Eik Hee Meyree Mahboobaa Hai: Jaan Ley!
Rind Hoon: May Kaa Aashiq Hoon: Yeemaan Hoon!!
Meiney Toubaa Naheen Kee Hai: Sun, Shak Na Kar;
Us Key Weeraan Ghar Mein Hoon: Weeraan Hoon!!
Teyrey Pahloo Mein Beyfikra Thaa; Shaad Thaa!
Ab Yahaan Hoon, To, Zerey Nigahbaan Hoon!!
Tujh Sey Nazareyn Milaaney Ko Beychain Hoon!
Yeh Qafas Hai Hadeedee: Fansee Jaan Hoon!!
Mujh Ko Shak Hai, Ki, Zindaa Hoon, Yaa Mar Chukaa?
Zibah Honaa Hai! Lagtaa Hai: Haiwaan Hoon!!
Jaa Waheen: Har Bashar, Jahaan Aazaad Hai!
Us Kee Nazaroun Mein, Mein Eik Hullaan Hoon!!
Har Taraf, Sirf Jallaad-O-Saiyaad Hain:
Jee Rahaa Hoon: Haqeeqat Mein Beyjaan Hoon!
Yeh Zarooree Naheen, Ki, Woh Hai Aadmee!
Tukhm-E-Aadam Hoon Mein! Apnee Pahichaan Hoon!!
Un Kaa Kahnaa Hai: Jannat Key Dar Pai Hoon Mein!
Lamhey Bhar Mein, Muqaam-E-Paristaan Hoon!!
Din Mein Kuchh? Raat Mein Kuchh Alag Hain? ‘Abd’,
Mazhabaani Mukeedat Sey, Anjaan Hoon!