Mein Tujhay Bhoole Gaee, Yeh Bhi Nahi Hai Laikin
Mein Tujhay Yaad Bhi Her Waqt Nahi Kar Sakti
Zindagi Kitnee Hamaa’geer Hai, Kitni Purr Shore
Sirf Ashk’oan Hee Say Daaman To Nahi Bhar Sakti

Kesay Fitrat Kay Taqaazoan Say Kinaara Kar Loan
Kis Tarhaa Talkhee-E-Zeher Ab Gawaara Kar Loan
Zindagi Kitnee Hamaa’geer Hai, Kitni Purr Shore
Mein Mohabbat Kay Taqaazay Bhi Samajhti Hoan Magar
Mein Haqeeqat Kay Ishaaray Bhi To Pehchaantee Hoan
Mein Teri Yaad Mein Khud Apnay Say Ghaafil Ho Jaa Oan
Ma’siwaa Apnay Kisi Aur Ko Bhi Jaanti Hoan
Zindagi Sirf Taraana Hee Taraana To Nahi
Kutch Haqeeqat Bhi Hai, Yeh Mehezz Fasaana To Nahi
Mein Haqeeqat Kay Ishaaray Bhi To Pehchaanti Hoan
Shair-O-Naghmaa Mein Guzarti Hoee Rangeen Raat’ain
Koan Hoga Jissay Naghmaat Ka Ehsaas Nahi!
Talkhee-E-Gham Bhi To Ik Thoas Haqeeqat Hai Magar
Koan Hai Jis Ko Haqeeqat Ka Zara Paas Nahi
Yeh Dharaktay Hooay Dil Aur Yeh Khanaktay Hooay Saaz
Yeh Mehektay Hooay Naghmaat, Yeh Bajtee Awaaz
Koan Hoga Jissay Naghmaat Ka Ehsaas Nahi
Zindagi Kitnee Hamaa’geer Hai, Kitnee Purr Shore
Aur Is Shore Mein Naghmoan Kee Haqeeqat Kitnee!
Mein Tujhay Yaad Keeay Jaa’oan, Yeh Mumkin Hai Magar
Is Hamaa’geeri Mein Ik Yaad Kee Fursat Kitnee!
Kitnay Dil’chaspp Hain Ulfat Kay Taraanay, Laikin
Kitnay Rangeen Hain Yeh Saadaa Say Fasaanay, Laikin