Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupke Se Aa Jate Ho,
Or Jhaank Ke Meri Aankhon Mein Beetay Din Yaad Dilate Ho,
Mastana Hawa Ke Jhonkon Se Har Baar Woh Parde Ka Hilna,
Parde Ko Pakarne Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna,
Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana Sasoun Mein Sitarey Se Khilna,
Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar Takna Wo Mujhe Jate Jate,
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Ke Kareb Aatey Aatey,
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey,
Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana,
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana,
Humsayon Ke Dar Se Katrana, Ghar Walon Ke Dar Se Ghabrana,
Ro Ro Ke Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon,
Halaat Ke Tapte Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon,
Kaise Ho, Kahaan Ho, Kuch To Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon,
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupke Se Aa Jate Ho,
Aur Jhaank Ke Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilate Ho.