Mein Intajar Karti Rahi Subah Hone Ka
Gumo Ki Andheri Raat Ke Khatam Hone Ka
Intajar Us Subah Ka Jo Khushi Ki Tarang Leke Aayegi
Apne Saath Nayi Umid Ki Kiran Leke Aayegi
Subah Ki Aas Me Mein Raat Se Ladhati Rahi
Mein Uske Aandhere Ko Mehman Samjhati Rahi
Magar Wo Raat To Aur Hi Aandheri Hone Lagi
Mere Umid Ke Kiran Ko Dheere-Dheere Bujhane Lagi
Tab Sachai Ke Prakash Ne Mere Sandahe Ko Dur Kiya
Aandheri Raat Ka Raaz Mujhko Tab Samajhaya
Raat‚ ‚  Sab‚  Se‚  Jyada‚ ‚  Aandheri‚  Jab Hoti‚  Hai
Subah‚ ‚ ‚ ‚  Tab‚ ‚ ‚  Hone‚ ‚ ‚  Wali‚ ‚ ‚  Hoti‚ ‚ ‚  Hai