Mein Hoon Meri Kalam Mere Kaagaz Mera Kamraa,
Abb Kya Hain Khuaf Koye Nahi Saath Jo Mere.
Dil Baat Kare Jab To Yeh Deewaar Sune Hain,
Kagaz Samet Lete Hain Jazbaat Jo Mere.
Aaoon Jo Thakaa Haraa Mein Shaam Ko Ghar Pe,
Bistar Mujhe Aagosh Mein Lekar Sulaaye Hai.
Khidki Se Jhaankti Huee Daali Yeh Neem Ki,
Kuch Sar-Saraahaton Bhari Lori Sunaaye Hai.
Harr Subha Aankh Khulte Hi Chasma Talaashna,
Harr Baar Bhool Jaana Ke Latka Hai Gale Mein.
Darwaaze Mein Atka Hua Akhbaar Kaa Parcha,
Dekhein Hua Hai Kiska Bhala Apne Bhale Mein?
Janaa Hai Aaj Daftar-E-Sarkaari Phir Mujhe,
Rukna Padega Aaj Bhi Lambi Qataar Mein.
Kya Kijiye Haasil Nahi Fariyaad Se Kuch Bhii
Likhwa Liya Hain Naam Jo Wazifa-Khwaar Mein.
Wazifa-Khwaar=pension Lene Wala
Thak Jaata Hoon Salaam Ke De De Jawaab Mein,
Bacche, Jawaan, Budhe Sabhi Hum-Kalaam Hai.
Kehtein Hai Log Chacha Ya Sahib, Bade Miyan,
Mein Khud Bhii Sochta Hoon Kya Mera Naam Hai?
Ginn Gina Ke Milti Hai Bass Raqm Do Hazaar,
Hissa Wahin Rakh Leta Hai Afsar Nikaal Ke.
Kar Leta Hoon Guzar Ussi Aadhi Adhuuri Se,
Chalne Do Ke Mehmaan Hain Hum Kuch Hii Saal Ke.
Lo Phir Wohi Kaagaz, Wohi Kamra Wohi Kalam,
Tanhayee Se Ekk Umr Hue Darr Nahi Lagta.
Haasil Meri Duniya Issi Kamre Mein Hai Mujhe,
Duniya Ko Kisi Kone Se Jo Ghar Nahi Lagta.