Meila Hai Sahi Tera Ye Daaman
Per Daaman To Hai Ey Maa,
Tere Apne Bachchon Me Hi Sahi-Â…koi Ek Shaksh
Per Raavan To Hai Ey Maa,
Dekh Phir Uthi Koi Ungli Tujhper
Dekh Phir Mai Bekaabu Hone Laga,
Tere Bachchhe Bahut Hain Per Phir Bhi
Tujhpe Jaan Lutane Ko Ye Paagal To Hai Ey Maa,
Kon Kehta Hai Ke Tu Parvarish Nahi Kar Paati
Kon Kehta Hai Ke Tujhe In Bachchon Ki Fikr Nahi Khaati,
Maine Dekha Hai Tujhe Raaton Ko Jagte Aksar
Jab Tere Sab Bachche So Jaate Hain Ey Maa,
Kasoor Tera Nahi, Dosh Hamara Hi Hai Shaayad
Gar Kaheen Teri Aankh Pal Do Pal Ko Lag Gai,
Hamne Hi Aasmaan Sar Par Utha Liya Shaayad
Tu To Achchhi Hai, Ham Hi Achchhe Nahi Ban Paate Ey Maa,
Ho Sake To Hamare Gunaahon Ko Maaf Kar
Ho Sake To Fate Aanchal Se Hi Dhak, Ye Sar,
Ham Kuchh Bhatakne Se Lage Hain,
Per Tere Ye Bachchhe Itne Bure Nahi.. Ey Maa.