Mehzabin Ab Badi Ho Chali Hai
Ab Wo Beparwaah Mere Ghar Nahi Aati-Â…
Uski Aankhein Ab Bhi Utni Hi Khubsurat Hai
Per Ab Wo Mujhse Nazrein Nahi Milaati,
Uun To Uski Paayal Ki Awaaz Se Mujhko
Uske Aane Ki Khabar Ho Hi Jaati Hai,
Per Mai Bhi Andekha Sa Kar Deta Hun Usko
Or Wo Bhi Mujhse Kam Hi Batiyaati Hai,
Eisa Nahi Ke Ab Wo Prasaad Usko Nahi Bhaata
Ya Mere Ram Ka Chehra Use Nahi Bhaata,
Khabron Se Bhare Is Jahaan Mein -Â…Shaayad
Wo Maasum Kuch Or Soch Nahi Paata,
Uske Chehre Per Wo Ghumti Si Latein
Ab Bhi Weise Hi Lehraati Hai-Â….
Ye Dil Bahut Dukhta Hai Jab Wo Mujhko
Apne Bade Ho Jaane Ka Ehsaas Jataati Hai,
Mai Ab Bhi Usme Wo Nanhi Si Pari Hi Pata Hun
Or Uski Wo Pyaari Si Aawaaz Sun.Ne Ko Taras Jaata Hun
Jamaana Beshaq-Â…Aasnaan Mein Dhundti Hai Usko..Ey Chaand
Magar Mai Apne Khuda Ko..Us Nan.Hi Mahzabeen Me Hi Paata Hun.