Mehroom Mohabbat Ka Sahara Banjati Woh
Ager Hume Apna Samaj Leti Woh
Zindagi Rangeen Ban Jati Humari Bhi
Ager Hume Apna Jutha Pyar Na Dikha Ti Woh
Dil Aaj Bhi Zinda Hota Humara
Ager Marne Ki Wajah Na Deti Woh
Kaagaz Pe Ansuon Ke Nishan Na Hote
Ager Hume Likhne Pe Majbur Na Karti Woh
Kalam Taras Jati Do Lavzon Ko
Ager Ehsaason Ke Kale Daagon Ki Sihai Na Banati Woh
Aaj Bhi Dusron Ke Liye Jee Rahe Hote Hum
Ager Dusron Ke Liye Nafrat Na Jagati Woh
Pyar Ki Izzat Kar Rahe Hote Hum Aaj Bhi
Ager Pyar Ko Bedaag Na Kar Deti Woh
Tadapte Rehjate Akele Par Kisi Ke Asre Pe Nah Rehte
Ager Maut Se Pehle Zindagi Main Dastaak Na Deti Woh
Dead Heart Nahi Kehla The Aaj Is Gheraion Ki Duniya Main
Ager Unki Dil Ki Rangeen Duniya Main Hume Basa Leti Woh