Mehfil-E-Shab Ke Hamsafar Waqt-E-Sehar Kahan Gaye
Jal Ke Chiraagh-E-Zindaagi Ho Kar Dhuaan, Dhuaan Gaye
Raah-E-Wafa Mein Aql Kii Rahbari Ekk Vahm Thii
Naqsh-E-Qadam Junoon Ke Thhe Ehl-E-Khirad Jahan Gaye
(Ehl-E-Khirad=those Guided By Reason)
Manzil-E-Aagahi Pe Tau Ehl-E-Nazar Pahunch Gaye
Bazm-E-Zameen Ke Bulhawas Kab Su-E-Aasmaan Gaye
(Aagahi=awareness,Higher Perception, Ehl-E-Nazar=seers,
Mystics, Those Who Are Spiritually More Evolved,
Bulhawas=those Are Driven By Sensual,
Baser Instincts, Su-E-Aasmaan=aasmaan Ki Taraf)
Shauq-E-Visaal Kis Qadar Laaya Hai Rang Dekhiye
Leke Ab Aatish-E-Firaaq Jaate Hain Hum Jahan Gaye
(Visaal=milan, Union With The Beloved, Aatish-E-Firaaq=judaai Ki Aag)
Jis Ke Khiraam-E-Naaz Se Gulshan-E-Dil Mein Thhi Bahaar
Daanish Ke Hamnafas Jo Thhe Deke Use Khizaan Gaye
Khiraam-E-Naaz=naaz-O-Ada Ki Chaal, Associated With The Beloved In Urdu/faarsi Poetry)