Meherbaani Se Zaraa Ek Neyk Kaam Kar Lo
Apne Jigar Main Mera Koyi Maqaam Kar Lo
Mere Anmol Dil Ko Tum Apne Gulaam Kar Lo
Varnah Bazaar Main Iss Ko Neelaam Kar Lo
Apni Reshmi Chuunrii Ko Mera Naam Kar Lo
Nahin To Mere Kafan Ka Hi Intizaam Kar Lo
Sohabat Ki Ek Shab Bhar Ka Nizaam Kar Lo
Adhuri Kuch Raghbaton Ko Tamaam Kar Lo
Preet Ke Paak Naam Ka Ehataraam Kar Lo
Izhaar E Mohabat Ab To Khule Aam Kar Lo
Sataane Ke Ilzaam Main Bad-Naam Kar Lo
Aur Sazaa De Ke Mera Jiina Haraam Kar Lo
Idhar Kabhi To Khiraam Se Do Gaam Kar Lo
Sar E Bazm Kam Se Kam Ek Kalaam Kar Lo
Dhalii Shaam -Ë—amanush-‘, Ab Salaam Kar Lo
Jaa Ke Nind Ke Aagosh Main Araam Kar Lo