Me Ne Is Duniya Mein Insaano Ke Behte Dariya Me
Suba Shaam Ki Aamad Me
Aasmaan Per Muzayyan Sitaron K Jurmut Me
Chaand Raat Ki Chandni Me
Sehra Ki Tapti Dhoop Me
Saghir Ki Bikhri Lehron Me
Kisi Saaf Nadi K Shafaaf Pani Me
Nazar Aati Huee Rait (Sand) Per Parte Hue Pani K Aks Me
Kisi Sureele Ki Sur K Sath Kisi Fakhita Ki Taal Me
Kisi Haseen Rakaasa K Dil Ko Behlaane Jazbaat Ukhaarne
Aur Ehsaasaat Ko Khushgawar Bana Dene Wale Raks Me
Kahin Tootate Dil K Aaeene K Andhe Tukron Me
To Kahin Piyar Ko Kisi Rishte K Bandhte Bandhen Me
Kabhi Din K Ujale Me B Andhare Ka Ehsaas To
Kabhi Raat Ki Tareeki Me B Door Kahin Se Nazar Ati Hue Roshni Ki Kiran Me
Kabhi Doston K Darmiyan Kisi Anjani Chaht Ki Kami To
Kabhi Tanhai Me B Muskarti Muskurahton Me