Mazhab Ke Naam Per Kuch Logo Ne
Ek Basti Jalayi Hai,
Insaniyat Aaj Phir Thartharai Hai,
Wo Mazhab Se Karte Hai Sab Ko Batne Ki Bate
Her Mazhab Ne To Mohabbat Sikhayi Hai,
Khoun Tou Jab Bhi Gira Hay Zamin Per Kisi Ka
Isne Kaha Kisi Mazhab Se Apni Pehchan Karayi Hay,
Jo Bacche Ho Gaye Massom Yatim
Inki Kaha Kisi Se Koi Ladai Hai,
Kisi Ne Apna Suhag Khoya
Kisi Ne Bhai, Beta Khoya
Unse Poocho Zindagi Ne Unhe
Kitni Badi Saza Sunai Hai,
Jo Kehte Hay Yeh Ibatat Gah Yeh Teri Yeh Meri Hai
Unke Khud Ke Dil Pe Siyahi Ki Chader Si Chayi Hai,
Wo Jalana Chahte Hai Har Taraf Nafrato Ke Diye”Kashif”
Humne Bhi Mohabbat Ki Andhiya Chalane Ki Kasam Khayi Hai,