Mayoos Kabhi Hota Nahi Jisko Yakheen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai
Machli Ka Pet Ban Gaya Insan Ka Saya
Us Benayaz Zaat Ne Yunus Ko Bachaya
Jab Aag Se Namrud Ka Bazar Garam Tha
Uske Karm Ne Aag Ko Murdaar Banaya
Wo Door Hai Kab Dil Mein Poshanasheen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai
Mushkil Mein Jab Na Aya Nazar Koi Sahara
Musa Ne Ankhein Band Ki Maula Ko Pukara
Age Tha Nile Peeche Thi Firon Ki Faujein
Kisne Banaya Nile Ki Maujon Ko Kinara
Itna Kareen Rehnumaan Socho To Kaheen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai
Halat Se Imaan Ko Tola Nahi Karte
Allah Ke Bande Kabhi Shikwa Nahi Karte
Ye Rasm Sikhayi Hai Hussain Ibn-E- Ali Ne
Jidhar Sajde Mein Ho Teeron Ko Dekha Nahi Karte
Sajdon Se Jo Roshan Hai Wo Momin Ki Jabeen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hain Andher Nahi Hai
Umeed Ka Daman Na Kisi Haal Mein Chordo
Ghabrao Nahi Sabr Ki Deewar Na Tordo
Taqhwaa Ho Agar Dil Mein To Milti Hai Khudai
Us Zaat‚  Bina Koun Sune Teri Duhai
Wo Zaat Jo Har Shaqs Ki Shehrat Mein Makeen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai
Mayoos Hota Nahi Jis Ko Yakheen Hai
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai