Maut Se Meri Nafrat Hain Puraani
Zindaagi Se Mohabbat Karta Hoon
Main Hoon Ekk Anjaan Shehar
Jahan Tera Swagat Karta Hoon.
Aattaa-Daal Kuch Bhii Nahin
Daawat Kaa Nyotaa Deta Hoon
Thodey Se Jo Shabd Parey Hain
Bas Unko Bhojan Kehta Hoon.
Thora-Thoda Khaaker Hii
Bas Likhtey Rehna Chahata Hoon
Panghat Se Paani Ko Churaakar
Kadmon Ke Nishaa Dho Leta Hoon.
Bhookey Pet Kaa Gum Nahin
Kapra Geela Kass Leta Hoon
Gala Sookh Kar Rota Jab Bhii
Subah Oas Pee Jaata Hoon.
Maa Ne Rona Nahin Sikhaaya
Aankh Ko Khud Pee Sakta Hoon
Jab-Jab Sookha Pada Ddhara Pe
Wahin Baitth Ro Sakta Hoon.
Paisa Mere Paas Kahan Bas
Lohey Ka Kangan De Sakta Hoon
Naa Mehal Naa Koi Meri Vasiyat
Kaagaz Kaala Bas Kar Sakta Hoon.
Dekh Samajhley Meri Duniya
Tere Aage Sab Rakhta Hoon
Insaan Mera Bas Saccha Saathi
Dushman Maut Ko Kehta Hoon.