Maut Ke Gehre Saagar Mein,Chadhti Utarti Lehron Ke,
Thapede Khaati Zindagi Ki Kashti,Gham Se Ghira Aasmaan,
Dard Kr Baadal Ke Pare Chhupi,
Pareshaan Suraj Ki Thaki Hui Kirne,
Ek Ek Karke Guzarte Tanhaayeeyon Ke Kaafile
Goonjti, Cheekhti, Chillati Khaamoshiyaan
Sehmi Hui Si Shaam Ki Shafaf
Dhundhale Hote Ujaale Saath Chhodta Saaya
Zakhmon Ko Sehlaata Dard Palkon Ko Ponchhte Aansooo
Khamoshi Ki Mehfil Mein Tanhaayeeyon Ki Bheed Mein
Aah Lene Ko Taraste Sard Shole
Saans Lene Ko Tarasti Ufanti Barf
Khizaa Ke Aalam Mein Sookhe Ped Par Lagi
Ek Yaadon Ki Daaljo Toot Chuki Hai Fir Bhi
Latki Hui Hai Parinde Bhi Jispar Baith Te Nahi Aur
Murjhaaya Bhi Jispe Ek Patta Nahi Jeene Ka Hosh Nahi
Marne Ka Bhaana Nahi Zindagi Bhi Naaraaz Hai
Maut Bhi Paas Nahiek Taraf Aisa Aalam Aur Ek Taraf.