Mausam Karvat Badalne Laga Hai
Phir Dhoop Kuchh Tej Ho Jaane Lagi Hai,
Nam Hone Lagi Hai Chamkili Nigahein Bhi
Sard Hawaaein Daaman Chudaane Lagi Hain,
Phir Bhayanak Shakl Banali Samaajon Ne
Phir Ghera Ik Insaan Ko In Riwajon Ne,
Jin Dehleezon Se Ummeedein Thi Bahut
Chitkaniyan Laga Di Bheetar Se
Unhi Ke Majboot Darwaajon Ne,
Koi Eisa Nikla, Ke Sab Kuchh Chhuda Le Gaya
Meri Deewaron Se Chappar Tak Uda Le Gaya,
Shayad Khabar Thi Usko
Ke Hawaein Phir Garmaaeigi,
Bas Isi Ghutan Se Bachaane Ke Khatir
Ye Khula Aasmaan De Gaya,
Is Par Bhi Ey Dil Ummeed Karte Ho
Ke In Deewaaron Ko Bacha Loge,
Garm Hawaain To Phir Bhi Gujar Jaaeingi
Par Barsaaton Me Kya Karoge,
Chodo In Deewaaron Se Mohobbat
Ye Kuchh Roj Me Khand.Har Ho Jaaeingi,
Aashiyaan Dhoondo Jheelon Ke Kinaare Kaheen
Ye Mausam Jaane Kis Mizaaj Karwat Le
Ye Hawaaein Phir Garmaaeingi