Mat Samajhnaa Rah-E-Ishq Aasaan Hai!
Zindagee Hai! Museebat Kaa Saamaan Hai!!
Aik Lamhah Na Kaatey Katey Hijra Kaa;
Meyzbaan Hun: Meyree Jaan Meyhmaan Hai!
Jaaganey Sey Bhalaa, Chain Sey Soyiye;
Unkaa Naa Aanaa Hi Un Kee Pahichaan Hai!
Kyaa Patah Kab Meyree Qabra Kaa Dar Khuley?
Tab Talak Hai Sukoon: Unkaa Ehsaan Hai!
Wo Mazaaroun Pai Jaaney Sey Katraa Gaye:
Kyaa Unhin Ney Bechaaroun Ki Lee Jaan Hai?
Unkey Bismil Mein Harkat Kee Aamad Huyee:
Unkaa Kahnaa Hai, ‘Pahloo Mein Shaitaan Hai!’
Ab Raqeeboun Pai Bhi Kuchh Raham Keejiye:
Tukhm-E-Aadam Hain: Un Mein Bhi Insaan Hai!!
Aisee Sougaat Kaa Kyaa, ‘Abd’, Keejiye?
Yah Pareyshaan Hai! Wah Pareyshaan Hai!!

By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)