Mat Khauf Kha Aye Dil-E-Nadaan Ke Ab Wo Shab-E-Gum Guzar Gayi,
Zer Hoo Gaye Dushman Hamare Aur Unki Pehchaan Bikhar Gayi,
Gham-E-Muhabbat Se Bigadte Dekha Tha Bahoot Zindagiyoon Ko Lekin,
Zindagi Ye Meri Aap Ke Gham Se Sudhar Gayi
Wo Din The Aur Jab Dar-E-Naaz Ke Rastoon Par The Andhere Bichhe Hue,
Ke Ab Girte Hi Nazar Mahsoos Hota Hai Ke Rahein Sawar Gayi,
Muhabbat Mein Ho Ke Mubtela Pareshaan Rehtein Hain Hum,
Sun Kar Hue Gumgeen Wo Bhi Jab Un Tak Ye Khabar Gayi
Kiye Kitne Jatan Ke Naa Dekhe Aap Ko Aye Naaz,
Jo Jigar Ko Sambhala To Aap Ke Chehre Par Nazar Gayi
Zamane Ki Ranginiyoon Ke Nashe Ka Maat Poocho Kya Hua,
Ke Muhabbat Hue Hi The, Jo Chadi Thi Utar Gayi
Is Kadar Unse Jud Sa Gaya Main Aye Sadik,
Ke Guzre Jahaan Se Wo Meri Kismat Udhar Gayi