Masumiyat Mujh Per Aye Khuda Tune Itnii Kyu Barsaii Hai
Iskii Badaulat Maine Rusvaa_ii Hii Rusvaa_ii Payii Hai
Gubaar Hii Gubaar Charsu Merii Aur Nazar Kyo Aata Hai
Iss Liye Kya Pattharo Ko Jo.D Kar Mai.N Ne Iik Diivaar Banaa_ii Hai
Hairat Se Merii Gehrii Bhurii Ankhe, Log Kyu Takte Rahte Hai
Iss Dhartii Par Jannat Se Kya Mujh Sii Pehlii Larkii Ayii Hai
Kahate Hai.N Iss Dhartii Per Jannat Se Chandii Utar Kar Ayii Hai
Dil Me.N Sochuu.N Shaayad Masumiyat Hii Yeh Rang Layii Hai
Dekho Pe.Do.N Par Kitne Saare Jalate Bujhate Juganuu Hai
Lekin Yeh Phir Kisne Mere Ghar Mei Dehahktii Aag Lagai Hai
Abb Huaa Maaluum Mujhe Iss Shahar Ke Chand Sayaano.N Ne
Merii Masumiyat Se Darr Ke, Merii Tasvirr Jalai Hai
Na Jaane Kaise Kaise Log Yahaa Kaisii Hai Yeh Duniya Re
Yeh Kya Samjhe Yeh Kya Jaane Masoomiyat Mei Jo Ghahrai Hai