Masoomiyat Ka Har Ehsaas Bhula Do Kabhi
Be-Jaan Hoon, Mujhe Kabr Mein Sula Do Kabhi
Hosh Rehne Se Yeh Dhadkan Karti Hai Shor
De Kasmein Sau Jaam Pila Do Kabhi
Hain Aur Bhi Tau Zinda Bagair Ulfat Ke
Iltijaa Kyon, Ke Mohabbat Dila Do Kabhi
Kami Hogi Tere Shauq Ki Bebaaqi Mein
Jo Kahein Woh, Iss Junoon Ko Jala Do Kabhi
Dillagi Unki, Hum Hosh Ganwaa Baithe Nahak
Beqaraari Mein Sukoon Dil Ko Dila Do Kabhi
Tanhaayion Ke Shor Ka Maatam Aur Main
Yaadein Unki Mitaane Ka Sila Do Kabhi
Dil-E-Nazuuk Ne Kiya Hai Pareshaan Bahut
Sang Aur Aahan Iss Dil Mein Mila Do Kabhi
Alfaaz Paras Aur Paras Alfaaz
Wah Bastaah Dono, Ehsaas Unko Dila Do Kabhi