Marz-E-Ishq Ne Yaaro Hamein Aisaa Sataya Hai
Dard Mein Bhi Lage Hai Goya Kuch Tau Bakaaya Hai
Ho Chala Thaa Yaqeen Humko Apno Pe Azeezon Pe
Ghurbat Mein Paas Apne, Koyi Apna Na Paraaya Hai
Mujrim Thi Wafa Apni Ki Khata Thi Yeh Hamaari
Aise Vasvase Thi Phir Bhi Chahat Ko Nibhaya Hai
‘Karte Hain Pyaar Tumse, Karte Raheinge Tumse’
Saanson Ki Har Ik Laye Ne Humko Yeh Sunaya Hai
Her Gosha Gulistan Thaa Ik Jashn-E-Baharaan Thaa
Na Jaane Kisne Mujhmein Zulmat Ko Basaya Hai
Ik Chaand Thaa Baahon Mein Jalwe Thhe Nigaahon Mein
Furqat Mein Viiraanon Ne Hamein Seene Se Lagaya Hai
Yun Tau Rahe Ho Tum Meri Jaan Se Bhi Nazdeektar
Ashqon Ki Barsaat Mein Dil Dhund Nahin Paaya Hai
Kya Dard-O-Sukun Mera Kya Shauq-E-Junun Mera
Kya Kho Diya Hai ‘Paras’ Dil Hosh Mein Kahan Aaya Hai