Marti Hui Zameen Ko Bachana Pada Mujhe
Badal Ki Tarah Dasht Mein Aana Pada Mujhe
Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe
Bhoole Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha
Chehre Pe Ek Zakhm Lagana Pada Mujhe
Us Ajnabi Se Haath Milane Ke Waste
Mehfil Mein Sabse Haath Milana Pada Mujhe
Yaadein Thi Dafan Aisi Ke Baad-E-Az Farookht Bhi
Us Ghar Ki Dekhbhal Ko Jana Pada Mujhe
Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar
Kal Aayine Pe Haath Uthana Pada Mujhe
Aise Bichhad Ke Usne To Mar Jana Tha
Uski Nazar Mein Khudko Girana Pada Mujhe