Mareez^-E-I’shq Par Pal Men Qiyaamat Kaa Guzar Jaanaa!
:sirhaane Se Kisee Kaa Uth Keh Woh Pich`le Pahar Jaanaa!:
Kisee Ko Ham-Nafas Samjh`aa, Kisee Ko Chaarahgar Jaanaa
Magar Duniyaa Ko Ham Ne Kuch` Naheen Jaanaa, Agar Jaanaa!
Maqaam-E-Zeest Ko Ham Ne Bh`alaa Kab Mo’tabar Jaanaa?
Milaa Jo Lamhah-E-Fursat Use Bh`ee Mukhtasar Jaanaa!
Ilaahee! Ham Ghareebon Kee Hee Kyon Yeh Aazmaa,Ish Hai?
Dawaa Kaa Be-Acar Rehnaa, Du,A’a Kaa Be-Acar Jaanaa
Tabassum Zer-E-Lab Teraa Daleel-E-Subh-E-Jaan-O-Dil
Tiraa Naz^ren Churaanaa Nabz^-E-Hastee Kaa Thehar Jaanaa!
Haqeeqat Hai To Bas Itnee See Hai Hangaam-E-Hastee Kee
:yahaan Par Bekhabar Rehnaa, Yahaan Se Bekhabar Jaanaa:!
Salaam Aisee Muhabbat Ko, Bh`alaa Yeh Bh`ee Muhabbat Hai?
Kisee Kee Yaad Men Jeenaa, Kisee Ke Gham Men Mar Jaanaa!
Rah-E-Ulfat Men Ham Se Aur Kyaa Ummeed Rakhte Ho?
Yeh Kyaa Kam Hai Keh Apnee Zaat Ko Gard-E-Safar Jaanaa?
Too Khud Ko Laakh` Samjh`e Baa-Kamaal-O-Baahunar “Sarwar”
Tujh`e Lekin Zamaaneh Ne Hameshah Behunar Jaanaa!