Maqaam.E.Ishq Mein Yeh Dil Rahaa Aashuftah.Khoo Barson
Pareshaan.Haal.O.Sar’gardaan Phiraa Hai Koo.Ba.Koo Barson
Khulee Be’qeematee Uss Kee Baree Mushkil Se Muddat Mein
Rahee Jiss Chaak.E.Daamaan Kee Hamen Fikr.E.Rafoo Barson
Samajh Mein Aa Gayaa Ahl.E.Muhabbat Ko Gharee Bhar Mein
Udhar Ahl.E.Khirad Karte Rahe Bus Haa’e.O.Hoo Barson
Kahaan Suntaa Hai Apne Saamne Voh Baat Dunyaa Kee?
Rahee Kyaa Kyaa Na Iss Dil Se Hamaaree Guftugoo Barson
Khudaa Iss Ishq Ko Samjhe, Parey Khaak Iss Muhabbat Per
Rakhaa Jiss Ne Hamen Be.Khaanamaan, Be.Aabroo Barson
Jhukaa Ker Sar Jo Dekhaa To Voh Apne Dil Mein Bethaa Thaa
Nigaahen Dhoondtee Theen Jiss Ko Her Dum Chaar’soo Barson
Yehee Dil Hai Jahaan Shaam.O.Sahar Ab Khaak Urtee Hai
:isee Ghar Mein Jalaayaa Hai Chiraagh.E.Aarzoo Barson
Tiree Her Baat Sarwar Saaree Dunyaa Se Niraalee Hai
Vohee Ik Aarzoo Her Pal Vohee Ik Justujoo Barson