Maqaam-E-May Hai: Ruk, Qayaam-E-Karwaan Kur Dey!
Awaam-E-Aam Mamaalik Ko Noujawaan Kur Dey!
Hazaar Baar Teyree ‘Na-Nukar’ Sey Guzraa Hoon:
Bahut Huaa Hai; Sirf Eik Baar Haan Kur Dey!
Wisaal-E-Yaar Key Khwaaboun Mein Mubtalaa Hoon Mein:
Suroor-E-May Sey Unhain Aur Khushnumaan Kur Dey!
Tamaam Qasb Hain Dil Mein, Dimaag Hai Bismil;
Qatraa-E-Aab Eik, Lub Pai Numaayaan Kur Dey!
Beetney Ko To Beetateen Hain Hazaaroun Sadiyaan;
Shab-E-Firaaq Ko, Kuchh Lamhoun Mein Fishaan Kur Dey!
Yeh Nidaa Meyree, Laboun Tak Naheen Aatee; Tub Bhi,
Kaash, Kuchh Ho, Jo Meyrey Durd Ko Bayaan Kur Dey!!
Tujh Sey Posheedaa Naheen Kuchh Bhi: Jaantaa Hai Too!
Fir Bhi, Maaqool Naheen Yeh, Ki, Too Ayaan Kur Dey!!
Tujh Sey Milney Key Liye, Kyaa Naheen Kiyaa Meiney?
Roo-B-Roo, Ab To, ‘Abd’, Apnee Aastaan Kur Dey