Maoqaa Har Kissi Ko Kahan Mil Paata Hai,
Kasht Men To Aaj Yun Bhi Saari Duniya Hai.
Dekha Hai Iss Duniya Ko, Par Humen Bhi Kuchh Kehna Hai,
Har Ungli Ke Uthhne Men Bhi Ek Mahatva Rahasya Samaaya Hai.
Danga Fasaad Men Bhi Dushton Ne Yuvaon Ko Bahkaaya Hai,
Mahlon Ko Pat Karne Ki Konsi Kraanti Prathibha Humne Jagaayi Hai.
Kaalak Men Man Jinka Ganga Nahaye Shudh Dikhen Hain Woh,
Janta Ne Kab Parivartan Ka Kaandhh Virudh Unke Bulaaya Hai.
Satyavaadi Ko Khud Bandhuon Ne Dhakke Dekar Bhagaaya Hai,
Sansad Ko Doshit Kya Karna Jab Soyi Praja Ne Mat Andhere Men Dala Hai,
Jan Jaat Padi Hai Bhooki Nangi Soti Hai Footpathon Pe,
Mudhon Ki Moh Maaya Ne Sankat Men Bholi Janta Ko Phansaaya Hai.
Jaatpaat Aur Dharam Ke Naam Par Bhai Ka Hi Lahu Bahaaya Hai,
Samajhte Nahin Is Shadyantra Ko Batwara Kar Desh Ganvaya Hai.