Manzil-E-Mohabbat Mein Sirf Neend Bhar Ki Duri Thi
Tuta Bas Mera Ek Khawaab Aur Bharam Toot Gaya,
Mulakaat Aur Judai Mein Sirf Kadam Bhar Ka Waqfa Tha,
Badali Usne Raah Karke Aadaab Aur Bharam Toot Gaya,
Hijr Ke Andheron Me Chaand Bhar Ka Faasla Tha,
Rutha Meri Bhor Ka Aaftaab Aur Bharam Toot Gaya,
Zehen Aur Rooh Mein Ek Soch Bhar Ki Judai Thi,
Jali Yu Zindagi Ki Kitaab Aur Bharam Toot Gaya,
Khiza Aur Baharon Me Ek Mausam Bhar Ki Duri Thi,
Murjhaya Yu Dil Ka Gulaab Aur Bharam Toot Gaya,
Zindagi Aur Maut Me “Lamha” Saans Bhar Ka Faasla Tha,
Jane Se Uske Bikhara Mera Shabaab Aur Bharam Toot Gaya.