Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh,
Aayi Kahanse Aankh Mein Ye Beshumar Dhundh,
Kaise Na Uska Sara Safar Raaygan Rahe,
Jis Karwan-E-Shauq Ki Hai Rehguzar Dhundh,

Hai Ye Jo Maah-O-Saal Ka Mela Laga Hua,
Karti Hai Ismein Chhup Ke Mera Intezar Dhundh,
Aankhein Wo Bazm, Jiska Nishaan Dolte Chirag,
Dil Wo Chaman Ke Jiska Hai Rang-E-Bahar Dhundh,
Kamre Mein Mere Gam Ke Siwa Aur Kuch Nahi,
Khidki Se Jhankti Hai Kise Baar Baar Dhundh,
Firdaus-E-Gosh Thehra Hai Mubham Sa Koi Shor,
Nazaargi Ka Sheher Mein Hai Aitbar Dhundh,
Naatak Mein Jaise Bikhre Ho Kirdaar Ja-Ba-Ja,
“Amjad” Fiza-E-Jaan Mein Hai Yun Be-Karar Dhundh,