Mann Tow Karta Hai Aaj Likhta Chala Jaoon
Dharti Se Aakash Tak Main Likhta Chala Jaoon.
Likhun Kuch Aisa
Ki Yeh Samaaj Badal Jaye

Rachun Ek Aisa Insaan
Jo Talaash Poori Kar Jaye.
Aise Insaan Ke Imaan Per Main Likhta Chala Jaoon
Iss Dharti Se Aakash Tak Main Likhta Chala Jaoon.
Likhun Kuch Aisa
Ki Andhere Ko Roshni Mile
Likhta Chala Jaaonga
Jab Talak Na Savera Mile.
…Suraj Ki Ek Kiran Ke Liye Main Likhta Chala Jaoon.
Iss Dharti Se Aakash Tak Main Likhta Chala Jaoon.
Likhun Koi Geet Aisa
Jo Dharti Mein Gaata Main Chalun.
Sochun Uss Paigaam Ka
Sab Kuch Main Sunata Chalun.
…Chahata Hoon Uss Awaz Ko Main Likhta Chala Jaoon.
Iss Dharti Se Aakash Tak Main Likhta Chala Jaoon.