Mamta Bhari Nigahon Ne
Jab Bhi Mujhe Dekha Hai
Saare Dard Lekar Mere
Usko Hansta Dekha Hai
Pal Bhar Ke Liye Ho Jaate
Hum Agar Nigahon Se Door
Dekhne Ki Bechaini Mein
Usko Tadapta Dekha Hai
Meri Ek Khushi Ke Liye
Jiske Liye Hoon Daulat Main
Dargahe Ilahi Mein Usko
Duwaoon Mein Ladte Dekha Hai
Jigar Ke Tukdo Ki Khatir
“Maa” Ek Aisi Taqat Hai
Jiske Aage “Alam” Aksar
Khudayee Ko Jhukte Dekha Hai