Makan Ki Dekhbhal Kareni Kee Zimedari Thi
Par Ab Jana Niyat Kuch Aur Hee Tumahree Thi
Jo Neev Se Jude The Jo Neev Men Rahe The
Jo Neev Se Har Bulandee Ko Bas Dekh Rahe The
Un Par Hee Imarat Ko Hilane Ka Ilzam Jaga Hai
Ye Ghar Kee Rakhwalee Nahee Gharwalon Se Daga Hai
Saja Kee Inteha Haii Ilzam Kee Inteha Hai
Ye Ghar Hamara Nahee Hota To Rukte Nahee Ham
Ilzamo Ke Baad Ruknana Munasib Nahee Hota
Kaise Jayen Ek Kadam Door Jam Gaye Hain Kadam
Abhee Bhee Bakee Hai Ek Hal Hamree Mazbooree Ka
Hame Dhakel Ke Utha Ka Kaheen Door Phenk Ayo
Ham Khud Nahee Ja Sakenge Door Deewaron Se Iskee
Yahee Karo Aur Jeet Ka Ek Jashn Tum Manayo
Ham Ghar Ko Nahee Bhool Sakte Mazbooree Hai
Ghar Walon Se Kaho Aaj Hame Bhool Jayo
Ab Hame Bhool Jana Bahut Zarooree Hai
Ham Ghar Ko Nahee Bhool Sakte Mazbooree Hai