Maine Khushiyon Ko Hassi Ke Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain,
Maine Phoolon Ko Khushboo Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Mazhab Kay Tehkaydaro Nay Yu Baant Diya Hum Logo Ko,
Maine Masjid Ko Mandir Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Saach Ko Saach Kehnay Ki Saza Yu Humko Mili Suno Yaro,
Maine Honto Ko Bolo Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Jab Say Beech Diya Usnay Peet Ki Khatir Neendo Ko,
Maine Aankho Ko Khabo Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Tum Nada Ho Tum Kaya Jano Aksar Aisa Bhee Hota Hain,
Maine Maa Ko Bhee Mamta Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Khush Kismat Ho Jo Dil Bharnay Pay Tanhai Main Ro Letay Ho,
Maine Meegho Ko Boondo Kay Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain
Tum Mera Khuda Ho Shyad Tumko Iska Ehsaas Nahi,
Maine ‘Sagar’ Ko Tere Liye Kai Baar Tarstay Dekha Hain.