Maine Dekha Hai Maine Jaana Hai
Ees Sachchai Ko Maine Maana Hai
Ke Suraj Ki Garmi Se Bhe Badi
Hoti Hay Pet Ki Garmi
Dekhe Hain Maine Tez Dhoop Mein
Wo Thake Ladkhadaate Huye Kadam
Kandhon Par Apne Saamaan Ko Uthaayen
Chhaanv Ki Khudaa Se Karte Wo Reham
Dekhi Maine Ek Bachche Ki Aankhen
Jo Kadii Dhoop Mein But Paalish Kartaa Hai
Ice-Cream Khaate Huye Un Bachchon Ko
Apnii Laachaar Narzon Se Wo Dekhtaa Hai
Dekhaa Hai Maine Kuch Logon Ko,Traaffic Signal Par
Rukti Hu-‘ii Gaadiyon Ko Saaf Karte Huye
Aag Ki Lapton Jaisii Suraj Kii Ees Gamri Mein
Mehnat Mein Apnaa Pasinaa Bahaate Huye
In Mushkilon Se Guzar Kar Bhee Log
Tez Dhoop Men Bhee Muskuraate Hain
Suraj Ki Garmi Se Bhii Badii Hoti Hai Pet Kii Garmii
Yeh Ik Roti Ki Keemat Hame Samjhaate Hai
Haan Ik Roti Ki Qeemat Hame Samjhaate Hai