Maine Chaahi Thi Jindgi
Mujhe Garbh Main Hee Maar Diyaa
Bandar Bhii Jo Nahii Karte
Wo Insaan Hokar Tune Kiyaa
Maine Paya Roop Betii Ka
To Isme Mera Kasoor Kya
Tu Bhii To Ek Betii Hai,
Fir Sila Iska Mujhe Kyun Diya
Maine Socha Tha Garbh Me Aane Se Pahle
Ye Duniya Badi Khoobsurat Hogii
Main Dekh Patii Us Duniya Ko
Usse Pahle Hii Tune Mujhe Maar Diyaa
Maa.N Tum Srajan Ka Roop Ho
Aur Dharti Per Roop Ho Bhagwan Ka
Fir Kyun Qatil Ban Gayiin Tum Merii
Kis Gunaah Ka Tumne Mujhe Sila Diyaa
Sunlo Bintii Maa.N Tum Merii
Mere Sath Jo Huaa Ek Insaan Hokar
Khuda Janwar Ke Sath Bhii Wo Na Kare
Khuda Kare Tu Kisi Ke Garbh Main Beti Bankar Na Aaye