Main Zameen Se Juda Hua Awaara Banjara Sa
Tum Aasaman Mein Udne Wali Pari Ho Jaise
Dekho Tumne To Farsh Pe Sona Seekh Liya
Ab Meri Bari Hai, Main Arsh Pe Pahunchu Kaise
Kaise Uchloon Ke Udna Mujhe Aata Rahe
Sath Safar Mere Yeh Tumhe Bhata Rahe
Kadi Dhoop Haitum Kab Tak Sang Chal Paogi
Main Chanv Samet Loonga Jab Tum Thak Jaogi
Manzil Pe Hum Jab Sath Kadam Rakh Payenge
Yeh Lamhe Bahut Yaad Ayenge
Kuch Kaante Raahon Mein Hain Jaanta Hoon
Aansoo Jo Peeti Ho Tum Main Pehchanta Hoon
Mathe Ki Shikan Ko Balon Se Dhak Leti Ho
Ankho Ke Sawaalon Pe Palkon Ko Rakh Leti Ho
Aseemit Se Kuch Karz Hain Jo Bharne Hain
Ankahe Vade Bhi To Poore Karne Hain
Tum Sath Ho To Inka Bojh Bhi Aadha Hai
Tedha-Medha Rasta Bhi Seedha Saadha Hai
Jo Shabd Pade Milnge Is Raste Mein
Saja Ke Unko Khwabon Ke Guldaste Mein
Jab Dhun Fateh Ki Dono Mil Ke Gayenge
Yeh Lamhe Bahut Yaad Aayenge